giraengi ye bijli jis taraf un ka guzar hoga
girā.eñgī ye bijlī jis taraf un kā guzar hogā
mirī aahoñ meñ bhī un kī nigāhoñ kā asar hogā
na sunñā tum ye TukḌe haiñ mire afsāna-e-ġham ke
mirī jaañ TukḌe TukḌe sunñe vāloñ kā jigar hogā
batā de ai falak aisī bhī koī raat aa.egī
mirī āġhosh meñ vo hoñge haale meñ qamar hogā
talāsh-e-chāragar meñ umr apnī muft kyoñ khotā
ḳhabar kyā thī ki dard-e-dil mirā ḳhud chārāgar hogā
ye 'safdar' kah rahī hai ishq meñ vāraftagī merī
miTā lo pahle ghar apnā to un ke dil meñ ghar hogā
giraengi ye bijli jis taraf un ka guzar hoga
meri aahon mein bhi un ki nigahon ka asar hoga
na sunna tum ye TukDe hain mere afsana-e-gham ke
meri jaan TukDe TukDe sunne walon ka jigar hoga
bata de ai falak aisi bhi koi raat aaegi
meri aaghosh mein wo honge haale mein qamar hoga
talash-e-chaaragar mein umr apni muft kyon khota
KHabar kya thi ki dard-e-dil mera KHud chaaragar hoga
ye 'safdar' kah rahi hai ishq mein waraftagi meri
miTa lo pahle ghar apna to un ke dil mein ghar hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.