girain dil ke nasheman pe bijliyan usne
girain dil ke nasheman pe bijliyan usne
Dilnawaz Khan Dilnawaz
MORE BYDilnawaz Khan Dilnawaz
girā.īñ dil ke nasheman pe bijliyāñ us ne
umīd-o-pyār kī bhaḌkā diiñ bastiyāñ us ne
mire ḳhulūs se pā.īñ ye shoḳhiyāñ us ne
ḳhushī ke paañv ko diiñ ġham kī beḌiyāñ us ne
ġham-e-hayāt kī dekhī na jhalkiyāñ us ne
saham saham ke ba-zāhir liiñ siskiyāñ us ne
sunī baġhaur jūñhī dil pe bītyāñ us ne
uThā.ī mere irādoñ kī arthiyāñ us ne
mire vaqār kā paidā yahāñ savāl huā
mirī taraf jo uThā.ī haiñ ungliyāñ us ne
uḌā ke band jo kī dast-e-nāz se khiḌkī
banā.īñ aise mire ḳhat kī titliyāñ us ne
vafā ke baad bhī ai 'dil-navāz' hairat hai
uḌā diiñ rah ke mire dil kī dhajjiyāñ us ne
girain dil ke nasheman pe bijliyan us ne
umid-o-pyar ki bhaDka din bastiyan us ne
mere KHulus se pain ye shoKHiyan us ne
KHushi ke panw ko din gham ki beDiyan us ne
gham-e-hayat ki dekhi na jhalkiyan us ne
saham saham ke ba-zahir lin siskiyan us ne
suni baghaur junhi dil pe bityan us ne
uThai mere iradon ki arthiyan us ne
mere waqar ka paida yahan sawal hua
meri taraf jo uThai hain ungliyan us ne
uDa ke band jo ki dast-e-naz se khiDki
banain aise mere KHat ki titliyan us ne
wafa ke baad bhi ai 'dil-nawaz' hairat hai
uDa din rah ke mere dil ki dhajjiyan us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.