giran guzarne laga daur-e-intizar mujhe
girāñ guzarne lagā daur-e-intizār mujhe
zarā thapak ke sulā de ḳhayāl-e-yār mujhe
na aayā ġham bhī mohabbat meñ sāzgār mujhe
vo ḳhud taḌap ga.e dekhā jo be-qarār mujhe
nigāh-e-sharmagīñ chupke se le uḌī mujh ko
pukārtā hī rahā koī baar baar mujhe
nigāh-e-mast ye meyār-e-be-ḳhudī kyā hai
zamāne vaale samajhte haiñ hoshiyār mujhe
bajā hai tark-e-ta.alluq kā mashvara lekin
na iḳhtiyār unheñ hai na iḳhtiyār mujhe
bahār aur ba-qaid-e-ḳhizāñ hai nañg mujhe
agar mile to mile mustaqil bahār mujhe
giran guzarne laga daur-e-intizar mujhe
zara thapak ke sula de KHayal-e-yar mujhe
na aaya gham bhi mohabbat mein sazgar mujhe
wo KHud taDap gae dekha jo be-qarar mujhe
nigah-e-sharmagin chupke se le uDi mujh ko
pukarta hi raha koi bar bar mujhe
nigah-e-mast ye meyar-e-be-KHudi kya hai
zamane wale samajhte hain hoshiyar mujhe
baja hai tark-e-talluq ka mashwara lekin
na iKHtiyar unhen hai na iKHtiyar mujhe
bahaar aur ba-qaid-e-KHizan hai nang mujhe
agar mile to mile mustaqil bahaar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.