giran kuchh jism-o-jaan par chand pura hai
girāñ kuchh jism-o-jāñ par chāñd puurā hai
tumhāre bin yahāñ par chāñd puurā hai
mirī dīvāngī aise nahīñ sāhib
mire ujḌe makāñ par chāñd puurā hai
vo ghar se aaj nikle hī nahīñ shāyad
tabhī to āsmāñ par chāñd puurā hai
mire mahbūb mere ghar kabhī aanā
kabhī aanā yahāñ par chāñd puurā hai
mile the ham jahāñ par chāñd aadhā thā
bichhaḌte vaqt vaañ par chāñd puurā hai
hamārā chaudhvīñ tak hī ta.alluq thā
hai baaqī dāstāñ par chāñd puurā hai
giran kuchh jism-o-jaan par chand pura hai
tumhaare bin yahan par chand pura hai
meri diwangi aise nahin sahib
mere ujDe makan par chand pura hai
wo ghar se aaj nikle hi nahin shayad
tabhi to aasman par chand pura hai
mere mahbub mere ghar kabhi aana
kabhi aana yahan par chand pura hai
mile the hum jahan par chand aadha tha
bichhaDte waqt wan par chand pura hai
hamara chaudhwin tak hi talluq tha
hai baqi dastan par chand pura hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.