gire hain lafz waraq pe lahu lahu ho kar
gire haiñ lafz varaq pe lahū lahū ho kar
mahāz-e-zīst se lauTā huuñ suraḳh-rū ho kar
usī kī diid ko ab raat din taḌapte haiñ
ki jis se baat na kī ham ne dū-badū ho kar
bujhā charāġh hai dil kā vagarna kaise mujhe
nazar na aa.egā vo mere chaar sū ho kar
ham apne aap hī mujrim haiñ apne munsif bhī
ḳhud e'tirāf kareñ apne rū-ba-rū ho kar
us ek ḳhvāhish-e-dil kā patā chalā na use
jo darmiyāñ meñ rahī sirf guftugū ho kar
maiñ sab meñ rahte hue kis tarah bhulā.ūñ tujhe
har ek shaḳhs hī miltā hai mujh ko tū ho kar
ab us ke sāmne jaate hue bhī Dartā huuñ
bhulā diyā thā jise mahv-e-justujū ho kar
huī na jazb zamīñ meñ to raat kī bārish
fazā meñ phail ga.ī ḳhaak rañg-o-bū ho kar
miTā jo aañkh ke shīshoñ se us kā aks 'nasīm'
ragoñ meñ phail gayā ḳhuuñ kī aarzū ho kar
gire hain lafz waraq pe lahu lahu ho kar
mahaz-e-zist se lauTa hun suraKH-ru ho kar
usi ki did ko ab raat din taDapte hain
ki jis se baat na ki hum ne du-badu ho kar
bujha charagh hai dil ka wagarna kaise mujhe
nazar na aaega wo mere chaar su ho kar
hum apne aap hi mujrim hain apne munsif bhi
KHud e'tiraf karen apne ru-ba-ru ho kar
us ek KHwahish-e-dil ka pata chala na use
jo darmiyan mein rahi sirf guftugu ho kar
main sab mein rahte hue kis tarah bhulaun tujhe
har ek shaKHs hi milta hai mujh ko tu ho kar
ab us ke samne jate hue bhi Darta hun
bhula diya tha jise mahw-e-justuju ho kar
hui na jazb zamin mein to raat ki barish
faza mein phail gai KHak rang-o-bu ho kar
miTa jo aankh ke shishon se us ka aks 'nasim'
ragon mein phail gaya KHun ki aarzu ho kar
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 47)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.