girte hue badan ka nagar chhoD jaunga
girte hue badan kā nagar chhoḌ jā.ūñgā
ghabrā ke dastakoñ se ye ghar chhoḌ jā.ūñgā
maiñ ain zindagī huuñ Thaharnā nahīñ mujhe
sab manzaroñ ko misl-e-nazar chhoḌ jā.ūñgā
ḳhud ḳhaak ho ke gard-e-safar meñ rahūñgā aur
un bastiyoñ meñ zauq-e-safar chhoḌ jā.ūñgā
hogā na sogvār mire vāste koī
jaltā huā diyā huuñ sahar chhoḌ jā.ūñgā
hastī mirī adam hī sahī sūrat-e-'sahāb'
maiñ sīpiyoñ meñ āb-e-guhar chhoḌ jā.ūñgā
girte hue badan ka nagar chhoD jaunga
ghabra ke dastakon se ye ghar chhoD jaunga
main ain zindagi hun Thaharna nahin mujhe
sab manzaron ko misl-e-nazar chhoD jaunga
KHud KHak ho ke gard-e-safar mein rahunga aur
un bastiyon mein zauq-e-safar chhoD jaunga
hoga na sogwar mere waste koi
jalta hua diya hun sahar chhoD jaunga
hasti meri adam hi sahi surat-e-'sahab'
main sipiyon mein aab-e-guhar chhoD jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.