girte rahte hain phir sambhalte hain
girte rahte haiñ phir sambhalte haiñ
phir usī rāste pe chalte haiñ
jalte haiñ aag meñ badan lekin
dil faqat ishq hī meñ jalte haiñ
ek muddat se dil ke mandir meñ
kuchh ummīdoñ ke diip jalte haiñ
rizq denā usī kī qudrat hai
pattharoñ meñ bhī kiiḌe palte haiñ
mom kī tarah dil bhī patthar ke
vaqt kī dhuup meñ pighalte haiñ
sirf hālāt hī nahīñ pyāre
haañ ḳhayālāt bhī badalte haiñ
koī ḳhāmosh bhī rahe kitnā
dil meñ jazbāt to machalte haiñ
makr tanvīr jis kā sheva hai
aisī duniyā se duur chalte haiñ
girte rahte hain phir sambhalte hain
phir usi raste pe chalte hain
jalte hain aag mein badan lekin
dil faqat ishq hi mein jalte hain
ek muddat se dil ke mandir mein
kuchh ummidon ke dip jalte hain
rizq dena usi ki qudrat hai
pattharon mein bhi kiDe palte hain
mom ki tarah dil bhi patthar ke
waqt ki dhup mein pighalte hain
sirf haalat hi nahin pyare
han KHayalat bhi badalte hain
koi KHamosh bhi rahe kitna
dil mein jazbaat to machalte hain
makr tanwir jis ka shewa hai
aisi duniya se dur chalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.