girti diwaron pe kuchh parchhaiyan rahne lagin
girtī dīvāroñ pe kuchh parchhā.iyāñ rahne lagīñ
ghar ko vīrāñ dekh kar tanhā.iyāñ rahne lagīñ
taaki zinda rah sake har zaḳhm-e-dil kī tāzgī
saath mere har ghaḌī purvā.iyāñ rahne lagīñ
jhūmtī shāḳhoñ meñ koī phal yā phuul aatā nahīñ
bāñjh peḌoñ meñ faqat añgḌā.iyāñ rahne lagīñ
haq kī rāhoñ par bahut dushvār hai chalnā nazar
mere pīchhe pīchhe bas rusvā.iyāñ rahne lagīñ
girti diwaron pe kuchh parchhaiyan rahne lagin
ghar ko viran dekh kar tanhaiyan rahne lagin
taki zinda rah sake har zaKHm-e-dil ki tazgi
sath mere har ghaDi purwaiyan rahne lagin
jhumti shaKHon mein koi phal ya phul aata nahin
banjh peDon mein faqat angDaiyan rahne lagin
haq ki rahon par bahut dushwar hai chalna nazar
mere pichhe pichhe bas ruswaiyan rahne lagin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.