girwida jis ke husn ka sara jahan hai
girwida jis ke husn ka sara jahan hai
Abdul Qadir Ahqar Azizi
MORE BYAbdul Qadir Ahqar Azizi
girvīda jis ke husn kā saarā jahān hai
karte haiñ jis se ishq vo urdu zabān hai
allāh re zabān kī kyā ān-bān hai
'iqbāl' kī hai ruuh to 'ġhālib' kī jaan hai
dillī kā marsiya ho yā dil meñ vufūr-e-ġham
dekheñ kalām-e-'mīr' ko kyā is kī shaan hai
'saudā' isī ḳhayāl meñ din-rāt mahv the
un kā ḳhayāl thā abhī urdu javān hai
vo lutf vo miThās kahāñ sab ko hai nasīb
nazm-o-nasr ko dekh lo shīrīñ bayān hai
ḳhushbū har ek phuul kī maujūd is meñ hai
har phuul rañgā-rang hai ik gulistān hai
tahzīb-e-mushtarak kī fazīlat liye hue
nāzāñ isī pe kishvar-e-hindostān hai
ummīd hai ki is ko milegā faroġh-e-ḳhās
sarkār is ke haal pe kuchh mehrbān hai
urdu paḌheñ paḌhā.eñ likheñ bolte raheñ
'ahqar' yahī to aap ke shāyān-e-shān hai
girwida jis ke husn ka sara jahan hai
karte hain jis se ishq wo urdu zaban hai
allah re zaban ki kya aan-ban hai
'iqbaal' ki hai ruh to 'ghaalib' ki jaan hai
dilli ka marsiya ho ya dil mein wufur-e-gham
dekhen kalam-e-'mir' ko kya is ki shan hai
'sauda' isi KHayal mein din-raat mahw the
un ka KHayal tha abhi urdu jawan hai
wo lutf wo miThas kahan sab ko hai nasib
nazm-o-nasr ko dekh lo shirin bayan hai
KHushbu har ek phul ki maujud is mein hai
har phul ranga-rang hai ek gulistan hai
tahzib-e-mushtarak ki fazilat liye hue
nazan isi pe kishwar-e-hindostan hai
ummid hai ki is ko milega farogh-e-KHas
sarkar is ke haal pe kuchh mehrban hai
urdu paDhen paDhaen likhen bolte rahen
'ahqar' yahi to aap ke shayan-e-shan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.