girya karta hai kabhi chup kabhi hansta hai wahi
girya kartā hai kabhī chup kabhī hañstā hai vahī
merī vahshat mirī hairat ko samajhtā hai vahī
kabhī ḳhushbū kabhī bādal kabhī mauj-e-dariyā
mere ash.ār meñ sau rang badaltā hai vahī
koī guzrā thā dabe paañv jahāñ se ik din
rāsta ḳhvāb kī dahlīz se miltā hai vahī
din ke hangāmoñ meñ sūraj se rifāqat us kī
raat phir chāñd sitāroñ se ulajhtā hai vahī
ḳhud-shanāsī jise tafvīz huī hai 'aslam'
Thokareñ khātā hai girtā hai sañbhaltā hai vahī
girya karta hai kabhi chup kabhi hansta hai wahi
meri wahshat meri hairat ko samajhta hai wahi
kabhi KHushbu kabhi baadal kabhi mauj-e-dariya
mere ashaar mein sau rang badalta hai wahi
koi guzra tha dabe panw jahan se ek din
rasta KHwab ki dahliz se milta hai wahi
din ke hangamon mein suraj se rifaqat us ki
raat phir chand sitaron se ulajhta hai wahi
KHud-shanasi jise tafwiz hui hai 'aslam'
Thokaren khata hai girta hai sanbhalta hai wahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.