girya, mayusi, gham-e-tark-e-wafa kuchh na raha
girya, māyūsī, ġham-e-tark-e-vafā kuchh na rahā
zindagī rah ga.ī jiine kā mazā kuchh na rahā
raushnī thī to har ik shai kī haqīqat thī ayaañ
tīrgī meñ mirī āñkhoñ ke sivā kuchh na rahā
pairahan rañg birañge nikal aa.e itne
nau-damīda gul-e-shabbū meñ chhupā kuchh na rahā
khā ga.ī ḳhaak ko hī ḳhaak kareñ kisī se gila
kyā kuredeñ ki tah-e-ḳhāk chhapā kuchh na rahā
tere milne ke Dhañg bhī taslīm magar
zā.iqa is tarah badlā ki mazā kuchh na rahā
kyuuñ na ho hashr bapā dād-e-vafā kyuuñ na mile
jab tire chāhne vāloñ ke sivā kuchh na rahā
kyuuñ na mehmānoñ ke kamre meñ sajā.eñ in ko
ilm kā naam kitāboñ ke sivā kuchh na rahā
ḳhushbū-e-vasl tavajjoh kā vo aalam vo ḳhulūs
Dūbte chāñd kī āġhosh meñ kyā kuchh na rahā
girya, mayusi, gham-e-tark-e-wafa kuchh na raha
zindagi rah gai jine ka maza kuchh na raha
raushni thi to har ek shai ki haqiqat thi ayan
tirgi mein meri aankhon ke siwa kuchh na raha
pairahan rang birange nikal aae itne
nau-damida gul-e-shabbu mein chhupa kuchh na raha
kha gai KHak ko hi KHak karen kisi se gila
kya kureden ki tah-e-KHak chhapa kuchh na raha
tere milne ke Dhang bhi taslim magar
zaiqa is tarah badla ki maza kuchh na raha
kyun na ho hashr bapa dad-e-wafa kyun na mile
jab tere chahne walon ke siwa kuchh na raha
kyun na mehmanon ke kamre mein sajaen in ko
ilm ka nam kitabon ke siwa kuchh na raha
KHushbu-e-wasl tawajjoh ka wo aalam wo KHulus
Dubte chand ki aaghosh mein kya kuchh na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.