go aapko hai ishq har ek mah-laqa ke sath
go aap ko hai ishq har ik mah-laqā ke saath
aqd-e-mubīn kījiye aql-e-rasā ke saath
minnat kī ājizī bhī kī zaarī bhī kī magar
apnā to kaam niklā thā jaur-o-jafā ke saath
yuuñ to vafā kī deviyoñ kī ek thī qatār
lekin nibhī to nibh ga.ī ik bevafā ke saath
har kaam meñ qarīna salīqa to chāhiye
kyā hai ajab ki pyaar ho sharm-o-hayā ke saath
kyoñ ḳhvāh-maḳhvāh ziist ko zindāñ bayāñ kareñ
guzrī hai umr apnī to ik dilrubā ke saath
go zindagī ke apne hī andāz haiñ magar
munsif hai maut ek sī shāh-o-gadā ke saath
go aap ko hai ishq har ek mah-laqa ke sath
aqd-e-mubin kijiye aql-e-rasa ke sath
minnat ki aajizi bhi ki zari bhi ki magar
apna to kaam nikla tha jaur-o-jafa ke sath
yun to wafa ki dewiyon ki ek thi qatar
lekin nibhi to nibh gai ek bewafa ke sath
har kaam mein qarina saliqa to chahiye
kya hai ajab ki pyar ho sharm-o-haya ke sath
kyon KHwah-maKHwah zist ko zindan bayan karen
guzri hai umr apni to ek dilruba ke sath
go zindagi ke apne hi andaz hain magar
munsif hai maut ek si shah-o-gada ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.