Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

go ba-zahir KHarab hain hum log

Abdul Ghafoor Saqi

go ba-zahir KHarab hain hum log

Abdul Ghafoor Saqi

MORE BYAbdul Ghafoor Saqi

    go ba-zāhir ḳharāb haiñ ham log

    bātinan lā-javāb haiñ ham log

    rashk-e-sad āftāb haiñ ham log

    dahr meñ intiḳhāb haiñ ham log

    paḌh sake to koī hameñ paḌh le

    ik mukammal kitāb haiñ ham log

    kyā zarūrat hai āzmāne

    aap apnā javāb haiñ ham log

    sāf-goī hamārī aadat hai

    tum na samjho ḳharāb haiñ ham log

    ga.e fat.h zindagānī par

    ab kahāñ mahv-e-ḳhvāb haiñ ham log

    kyoñ na maḳhmūr ho jahāñ 'sāqī'

    kaif-āvar sharāb haiñ ham log

    go ba-zahir KHarab hain hum log

    baatinan la-jawab hain hum log

    rashk-e-sad aaftab hain hum log

    dahr mein intiKHab hain hum log

    paDh sake to koi hamein paDh le

    ek mukammal kitab hain hum log

    kya zarurat hai aazmane ki

    aap apna jawab hain hum log

    saf-goi hamari aadat hai

    tum na samjho KHarab hain hum log

    pa gae fath zindagani par

    ab kahan mahw-e-KHwab hain hum log

    kyon na maKHmur ho jahan 'saqi'

    kaif-awar sharab hain hum log

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now