go chahta tha bahut par ye mujhse ho na saka
go chāhtā thā bahut par ye mujh se ho na sakā
maiñ arz-e-dil meñ mohabbat kā biij bo na sakā
bhañvar meñ yuuñ to mirī naav bārhā aa.ī
magar havas kā samundar mujhe Dubo na sakā
sadā-e-gumbad-e-be-dar huuñ qaid huuñ kab se
maiñ apne aap meñ koī sadā samo na sakā
maiñ māh-o-sāl ke resham se narm dhāge meñ
tumhārī yaad ke motī kabhī piro na sakā
bichhaḌte vaqt vo royā lipaT ke mujh se bahut
ajab sitam hai ki maiñ phir bhī khul ke ro na sakā
ajiib shor uThā thā havas ke dariyā meñ
magar maiñ shor meñ āvāz apnī kho na sakā
bahut se yuuñ to mujhe ham-safar mile 'aḳhtar'
magar koī bhī mire ġham kā bojh Dho na sakā
go chahta tha bahut par ye mujh se ho na saka
main arz-e-dil mein mohabbat ka bij bo na saka
bhanwar mein yun to meri naw barha aai
magar hawas ka samundar mujhe Dubo na saka
sada-e-gumbad-e-be-dar hun qaid hun kab se
main apne aap mein koi sada samo na saka
main mah-o-sal ke resham se narm dhage mein
tumhaari yaad ke moti kabhi piro na saka
bichhaDte waqt wo roya lipaT ke mujh se bahut
ajab sitam hai ki main phir bhi khul ke ro na saka
ajib shor uTha tha hawas ke dariya mein
magar main shor mein aawaz apni kho na saka
bahut se yun to mujhe ham-safar mile 'aKHtar'
magar koi bhi mere gham ka bojh Dho na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.