go dahr ke naqshe mein hain bahar bhi nahin hum
go dahr ke naqshe meñ haiñ bāhar bhī nahīñ ham
rakhte haiñ nishāñ aur ujāgar bhī nahīñ ham
kyuuñ ham se phir ummīd-e-sadaf bāñdh rahe ho
jab tum ko patā hai ki samundar bhī nahīñ ham
ḳhushbū kī tarah phuul ke piñjre meñ nahīñ band
āzād fazāoñ kā muqaddar bhī nahīñ ham
ehsās hai phir ḳhāna-badoshī kā hameñ kyuuñ
rahne ko Thikāna bhī hai be-ghar bhī nahīñ ham
kaise ho ḳhad-o-ḳhāl se pahchān hamārī
mā'nī kī tarah lafz ke andar bhī nahīñ ham
parvāz sabab kaise ho bachchoñ kī ḳhushī kā
titlī kī tarah mus.haf-e-gul par bhī nahīñ ham
is kā ye taqāzā hai ki ahkām bajā laa.eñ
jis husn kā sarkār ke naukar bhī nahīñ ham
go dahr ke naqshe mein hain bahar bhi nahin hum
rakhte hain nishan aur ujagar bhi nahin hum
kyun hum se phir ummid-e-sadaf bandh rahe ho
jab tum ko pata hai ki samundar bhi nahin hum
KHushbu ki tarah phul ke pinjre mein nahin band
aazad fazaon ka muqaddar bhi nahin hum
ehsas hai phir KHana-badoshi ka hamein kyun
rahne ko Thikana bhi hai be-ghar bhi nahin hum
kaise ho KHad-o-KHal se pahchan hamari
ma'ni ki tarah lafz ke andar bhi nahin hum
parwaz sabab kaise ho bachchon ki KHushi ka
titli ki tarah mushaf-e-gul par bhi nahin hum
is ka ye taqaza hai ki ahkaam baja laen
jis husn ka sarkar ke naukar bhi nahin hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.