go is se iztirab mein hai jaan-e-zindagi
go is se iztirāb meñ hai jān-e-zindagī
phir bhī ye dard-e-ishq hai shāyān-e-zindagī
achchhā huā ki maut ne mujh ko miTā diyā
maiñ dāġh-e-nang thā sar-e-dāmān-e-zindagī
naġhme samajh rahā hai inheñ nā-suḳhan-shanās
majmūa marsiyoñ kā hai dīvān-e-zindagī
āhū-e-tishna aur fareb-e-sarāb-e-dasht
insān aur aish-e-gurezān-e-zindagī
paayā kahīñ na gauhar-e-maqsūd kā nishāñ
chhānī bahut hai ḳhāk-e-bayābān-e-zindagī
taskīn-e-dil ba-juz ġham-e-ulfat kahīñ nahīñ
sābit huā ki dard hai darmān-e-zindagī
'mahrūm' kis ke nok-e-qalam kā hai shāhkār
afsāna-e-firāq ba-unvān-e-zindagī
go is se iztirab mein hai jaan-e-zindagi
phir bhi ye dard-e-ishq hai shayan-e-zindagi
achchha hua ki maut ne mujh ko miTa diya
main dagh-e-nang tha sar-e-daman-e-zindagi
naghme samajh raha hai inhen na-suKHan-shanas
majmua marsiyon ka hai diwan-e-zindagi
aahu-e-tishna aur fareb-e-sarab-e-dasht
insan aur aish-e-gurezan-e-zindagi
paya kahin na gauhar-e-maqsud ka nishan
chhani bahut hai KHak-e-bayaban-e-zindagi
taskin-e-dil ba-juz gham-e-ulfat kahin nahin
sabit hua ki dard hai darman-e-zindagi
'mahrum' kis ke nok-e-qalam ka hai shahkar
afsana-e-firaq ba-unwan-e-zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.