go kam-suKHan hai bhari mahfilon mein tanha hai
go kam-suḳhan hai bharī mahfiloñ meñ tanhā hai
vo apne aap se miltā hai baat kartā hai
jo baat donoñ meñ honī thī ho na paa.ī kabhī
so ghar meñ aaj bhī tanhā.iyoñ kā Derā hai
har ek haal meñ rahte haiñ 'ishq vaale ḳhush
visāl-o-hijr ke mābain aisā rishta hai
khaḌā hai sahn meñ tanhā jo Tuñdmuñd daraḳht
na jaane is ko parindoñ pe kyā bharosa hai
hamāre shahr kī dīvār to salāmat hai
ab us ke paar kise fikr kaun kartā hai
vo ḳhūb-rū hai hasīñ hai vajīh hai 'sīmā'
vo merā yaar baḌā sāñvlā salonā hai
go kam-suKHan hai bhari mahfilon mein tanha hai
wo apne aap se milta hai baat karta hai
jo baat donon mein honi thi ho na pai kabhi
so ghar mein aaj bhi tanhaiyon ka Dera hai
har ek haal mein rahte hain 'ishq wale KHush
visal-o-hijr ke mabain aisa rishta hai
khaDa hai sahn mein tanha jo Tundmund daraKHt
na jaane is ko parindon pe kya bharosa hai
hamare shahr ki diwar to salamat hai
ab us ke par kise fikr kaun karta hai
wo KHub-ru hai hasin hai wajih hai 'sima'
wo mera yar baDa sanwla salona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.