go ki pichhe bahut qatar mein the
go ki pīchhe bahut qatār meñ the
kisī gintī kisī shumār meñ the
sau balāoñ se ham rahe mahfūz
ik pur-asrār se hisār meñ the
ḳhush huā huuñ ġhamoñ se mil ke yuuñ
jaise ye mere intizār meñ the
tiin meñ haiñ na ab vo terah meñ
jo kabhī pahle tiin chaar meñ the
ab vo saare ḳhizāñ meñ haiñ 'bāsir'
rañg jitne kabhī bahār meñ the
go ki pichhe bahut qatar mein the
kisi ginti kisi shumar mein the
sau balaon se hum rahe mahfuz
ek pur-asrar se hisar mein the
KHush hua hun ghamon se mil ke yun
jaise ye mere intizar mein the
tin mein hain na ab wo terah mein
jo kabhi pahle tin chaar mein the
ab wo sare KHizan mein hain 'basir'
rang jitne kabhi bahaar mein the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.