go ki thak-haar kar uDan chali
go ki thak-hār kar uḌaan chalī
phir bhī vo sū-e-āsmān chalī
jo mukammal huī thī pal bhar meñ
muddatoñ tak vo dāstān chalī
dil kī māneñ ki aql kī māneñ
zindagī bhar ye khīñch-tān chalī
jaane vaale palaT ke dekh to le
pīchhe pīchhe hamārī jaan chalī
maut jaane huī hai paas ki fail
zindagī de ke imtihān chalī
jang saarī tumhīñ ko le kar thī
zehn-o-dil ke jo darmiyān chalī
us ne ḳhāmosh kar diyā mujh ko
jis kī ḳhātir mirī zabān chalī
go ki thak-haar kar uDan chali
phir bhi wo su-e-asman chali
jo mukammal hui thi pal bhar mein
muddaton tak wo dastan chali
dil ki manen ki aql ki manen
zindagi bhar ye khinch-tan chali
jaane wale palaT ke dekh to le
pichhe pichhe hamari jaan chali
maut jaane hui hai pas ki fail
zindagi de ke imtihan chali
jang sari tumhin ko le kar thi
zehn-o-dil ke jo darmiyan chali
us ne KHamosh kar diya mujh ko
jis ki KHatir meri zaban chali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.