go meri har sans ek paigham-e-sarmasti rahi
go mirī har saañs ik paiġhām-e-sarmastī rahī
merī hastī misl-e-bū-e-gul pareshāñ hī rahī
hashr ta.amīr-e-nasheman kā nazar meñ hai magar
itne din merī tabī.at to zarā bahlī rahī
kitnī sub.heñ yaas kī zulmat meñ āḳhir bujh ga.iiñ
sham-e-dil jaltī rahī jaltī rahī jaltī rahī
kis ke roke ruk sakā sail-e-ravān-e-zindagī
phuul khilte hī rahe bijlī chamaktī hī rahī
'zeb' kitnī der kā hañgāma-e-sailāb thā
raunaq-e-dariyā mirī TuuTī huī kashtī rahī
go meri har sans ek paigham-e-sarmasti rahi
meri hasti misl-e-bu-e-gul pareshan hi rahi
hashr tamir-e-nasheman ka nazar mein hai magar
itne din meri tabiat to zara bahli rahi
kitni subhen yas ki zulmat mein aaKHir bujh gain
sham-e-dil jalti rahi jalti rahi jalti rahi
kis ke roke ruk saka sail-e-rawan-e-zindagi
phul khilte hi rahe bijli chamakti hi rahi
'zeb' kitni der ka hangama-e-sailab tha
raunaq-e-dariya meri TuTi hui kashti rahi
- Book : zartaab (Pg. 271)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.