go nazar aksar wo husn-e-la-zawal aa jaega
go nazar aksar vo husn-e-lā-zavāl aa jā.egā
raah meñ lekin sarāb-e-māh-o-sāl aa jā.egā
yā shikan-ālūd ho jā.egī manzar kī jabīñ
yā hamārī aañkh ke shīshe meñ baal aa jā.egā
ret par sūrat-garī kartī hai kyā bād-e-junūb
koī dam meñ mauja-e-bād-e-shimāl aa jā.egā
dosto merī tabī.at kā bharosa kuchh nahīñ
hañste hañste aañkh meñ rañg-e-malāl aa jā.egā
jaane kis din haath se rakh dūñgā duniyā kī zamām
jaane kis din tark-e-duniyā kā ḳhayāl aa jā.egā
hādsa ye hai ki saarī zillatoñ ke bāvajūd
rafta rafta zaḳhm sū-e-indimāl aa jā.egā
go nazar aksar wo husn-e-la-zawal aa jaega
rah mein lekin sarab-e-mah-o-sal aa jaega
ya shikan-alud ho jaegi manzar ki jabin
ya hamari aankh ke shishe mein baal aa jaega
ret par surat-gari karti hai kya baad-e-junub
koi dam mein mauja-e-baad-e-shimal aa jaega
dosto meri tabiat ka bharosa kuchh nahin
hanste hanste aankh mein rang-e-malal aa jaega
jaane kis din hath se rakh dunga duniya ki zamam
jaane kis din tark-e-duniya ka KHayal aa jaega
hadsa ye hai ki sari zillaton ke bawajud
rafta rafta zaKHm su-e-indimal aa jaega
- Book : yakja (Pg. 20)
- Author : khursiid rizvii
- Publication : haji hanif printer lahore (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.