go purani ho chuki wo hosh mein aane ki baat
go purānī ho chukī vo hosh meñ aane kī baat
log phir bhī kar rahe haiñ mujh ko samjhāne kī baat
rafta-rafta Dhal ga.ī hai saiñkaḌoñ naġhmāt meñ
ai dil-e-mā’sūm tere ek afsāne kī baat
apnā apnā ġham liye phirte haiñ is duniyā meñ log
kaun samjhegā yahāñ ab tere dīvāne kī baat
zindagī uljhī huī hai aur hī janjāl meñ
ab kahāñ vo sāġhar-o-mīnā kī maiḳhāne kī baat
ajnabī māhaul meñ apne to lab khulte nahīñ
tum hī chheḌo aaj us rangīn afsāne kī baat
go purani ho chuki wo hosh mein aane ki baat
log phir bhi kar rahe hain mujh ko samjhane ki baat
rafta-rafta Dhal gai hai sainkaDon naghmat mein
ai dil-e-ma’sum tere ek afsane ki baat
apna apna gham liye phirte hain is duniya mein log
kaun samjhega yahan ab tere diwane ki baat
zindagi uljhi hui hai aur hi janjal mein
ab kahan wo saghar-o-mina ki maiKHane ki baat
ajnabi mahaul mein apne to lab khulte nahin
tum hi chheDo aaj us rangin afsane ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.