go siyah-baKHt hun par yar lubha leta hai
go siyah-baḳht huuñ par yaar lubhā letā hai
shakl saaya ke mujhe saath lagā letā hai
go mulāqāt nahīñ ālam-e-bedārī meñ
ḳhvāb meñ par vo hameñ saath sulā letā hai
ashk ko Tuk bun-e-mizhgāñ meñ Thaharne de dilā
ye tirā dekh to haañ dekh to kyā letā hai
rāhi-e-mulk-e-adam se na kar itnī kāvish
dam musāfir ye tah-e-naKhl zarā letā hai
shīsha-e-dil meñ mire tere ḳhayāl-e-ḳhat se
aa gayā baal hai to mol use kyā letā hai
ye masal ai but-e-mai-nosh sunī hai ki nahīñ
le hai bartan jo koī us ko bajā letā hai
tū vo hai nām-e-ḳhudā ai but-e-kāfir ki tire
zāhid-e-gosha-nashīñ bhī qadam aa letā hai
dil pe talvār sī kuchh lagtī hai jab ġhair ko tū
paas abrū ke ishāre se bulā letā hai
kyuuñ na phūle dil-e-sad-chāk hamārā yaaro
gul samajh kar vo use sar pe chaḌhā letā hai
mauj-e-dariyā to kab aTkhelī se yuuñ chaltī hai
par tirī kabk-e-darī chaal uḌā letā hai
zulf-e-mushkīñ ko na chheḌ us kī dilā maan kahā
apne kyuuñ sar pe balā ahl-e-ḳhatā letā hai
huuk sī uThtī hai kuchh dil meñ mire aah 'nasīr'
jab vo pahlū meñ raqīboñ ko biThā letā hai
go siyah-baKHt hun par yar lubha leta hai
shakl saya ke mujhe sath laga leta hai
go mulaqat nahin aalam-e-bedari mein
KHwab mein par wo hamein sath sula leta hai
ashk ko Tuk bun-e-mizhgan mein Thaharne de dila
ye tera dekh to han dekh to kya leta hai
rahi-e-mulk-e-adam se na kar itni kawish
dam musafir ye tah-e-naKhl zara leta hai
shisha-e-dil mein mere tere KHayal-e-KHat se
aa gaya baal hai to mol use kya leta hai
ye masal ai but-e-mai-nosh suni hai ki nahin
le hai bartan jo koi us ko baja leta hai
tu wo hai nam-e-KHuda ai but-e-kafir ki tere
zahid-e-gosha-nashin bhi qadam aa leta hai
dil pe talwar si kuchh lagti hai jab ghair ko tu
pas abru ke ishaare se bula leta hai
kyun na phule dil-e-sad-chaak hamara yaro
gul samajh kar wo use sar pe chaDha leta hai
mauj-e-dariya to kab aTkheli se yun chalti hai
par teri kabk-e-dari chaal uDa leta hai
zulf-e-mushkin ko na chheD us ki dila man kaha
apne kyun sar pe bala ahl-e-KHata leta hai
huk si uThti hai kuchh dil mein mere aah 'nasir'
jab wo pahlu mein raqibon ko biTha leta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.