go tere shahr mein bhi raat rahe
go tire shahr meñ bhī raat rahe
sub.h tak tishna-e-hayāt rahe
dard kā chāñd bujh gayā lekin
ġham ke taare tamām raat rahe
aur bhī haiñ ta.alluqāt magar
ġham ke rishte se merī baat rahe
zindagī meñ ajal se pahle hī
kaise jāñ-kāh sānehāt rahe
ham ko un se shikāyateñ haiñ 'shamīm'
log marhūn-e-iltifāt rahe
go tere shahr mein bhi raat rahe
subh tak tishna-e-hayat rahe
dard ka chand bujh gaya lekin
gham ke tare tamam raat rahe
aur bhi hain talluqat magar
gham ke rishte se meri baat rahe
zindagi mein ajal se pahle hi
kaise jaan-kah sanehat rahe
hum ko un se shikayaten hain 'shamim'
log marhun-e-iltifat rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.