gora mukhDa gore gal
gorā mukhḌā gore gaal
us pe qayāmat bikhre baal
kis din hogā un se milnā
dekh nujūmī merī faal
hijr meñ tere jān-e-tamannā
ek ik pal hai sau sau saal
ġhair haiñ ghere un ko har dam
kaise gale phir apnī daal
ek nazar hai dil kī qīmat
kitnā hai ye sastā maal
aaj hai saaqī mauj meñ pī le
baat na us kī zāhid Taal
haath na rañgiye aap hinā se
ḳhuun se mere kiije laal
dekh ke rahnā baaġh meñ bulbul
liye shikārī phirte jaal
rokegā har tiir ko tere
siine merā ban kar Dhaal
un pe aa kar chhā.ī javānī
mujh pe ghar kar aayā kaal
tauba tauba mast javānī
allāh allāh bāñkī chaal
koī nahīñ hai jag meñ apnā
kis ko sunā.eñ dil kā haal
jiine kā jo lutf hai lenā
ġham kī bulbul dil meñ paal
ġhairoñ kā to kaam hai jalnā
baat pe un kī miTTī Daal
sun kar mere mīThe she'r
Tapke 'jauhar' sab kī raal
gora mukhDa gore gal
us pe qayamat bikhre baal
kis din hoga un se milna
dekh nujumi meri fal
hijr mein tere jaan-e-tamanna
ek ek pal hai sau sau sal
ghair hain ghere un ko har dam
kaise gale phir apni dal
ek nazar hai dil ki qimat
kitna hai ye sasta mal
aaj hai saqi mauj mein pi le
baat na us ki zahid Tal
hath na rangiye aap hina se
KHun se mere kije lal
dekh ke rahna bagh mein bulbul
liye shikari phirte jal
rokega har tir ko tere
sine mera ban kar Dhaal
un pe aa kar chhai jawani
mujh pe ghar kar aaya kal
tauba tauba mast jawani
allah allah banki chaal
koi nahin hai jag mein apna
kis ko sunaen dil ka haal
jine ka jo lutf hai lena
gham ki bulbul dil mein pal
ghairon ka to kaam hai jalna
baat pe un ki miTTi Dal
sun kar mere miThe she'r
Tapke 'jauhar' sab ki ral
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.