Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gosh kar fariyaad-e-ashiq jaan kar

Shad Lakhnavi

gosh kar fariyaad-e-ashiq jaan kar

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    gosh kar fariyād-e-āshiq jaan kar

    nāla-e-bulbul pe ai gul kaan kar

    jab badal kapḌe kafan dhyān kar

    ġhusl-e-mayyat jaan jab ashnān kar

    khaal mujh mahv-e-mizha jaan kar

    rakh diyā chhalnī siina chhān kar

    miT ga.e us chaqoñ ko dekh kar

    bulbule ubhre jo siina taan kar

    saḳht-jāñ vo huuñ jo ho mujh par ravāñ

    aslahe rah jaa.eñ lohā maan kar

    aag meñ apne misāl-e-sham.a jal

    par zabān se uf na ai nādān kar

    nashtar-e-mizhgāñ ho būñdī kaTār

    būñd-bar paanī pilā ehsān kar

    ai dur-e-yaktā janāb-e-ḳhizr ne

    ik mujhe paayā zamāna chhān kar

    jism-zār-e-qais pūchhā jo haal

    rakh diyā makḌī ne jaalā taan kar

    ġham gunāhoñ na khā 'shād'-e-hazīñ

    rahmatul-lilālamīñ par dhyān kar

    gosh kar fariyaad-e-ashiq jaan kar

    nala-e-bulbul pe ai gul kan kar

    jab badal kapDe kafan ka dhyan kar

    ghusl-e-mayyat jaan jab ashnan kar

    khaal mujh mahw-e-mizha ki jaan kar

    rakh diya chhalni ka sina chhan kar

    miT gae us ki chaqon ko dekh kar

    bulbule ubhre jo sina tan kar

    saKHt-jaan wo hun jo ho mujh par rawan

    aslahe rah jaen loha man kar

    aag mein apne misal-e-shama jal

    par zaban se uf na ai nadan kar

    nashtar-e-mizhgan ho bundi ki kaTar

    bund-bar pani pila ehsan kar

    ai dur-e-yakta janab-e-KHizr ne

    ek mujhe paya zamana chhan kar

    jism-zar-e-qais ka puchha jo haal

    rakh diya makDi ne jala tan kar

    gham gunahon ka na kha 'shad'-e-hazin

    rahmatul-lilalamin par dhyan kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now