gosha-e-gul hi nahin bagh tha maskan apna
gosha-e-gul hī nahīñ baaġh thā maskan apnā
jab se āzād hue ghar huā madfan apnā
fikr-o-ālām ke saa.e se bahut duur thā ye
yaad kyūñkar na hameñ aa.egā bachpan apnā
ye zar-o-māl ye duniyā kī tamanna ye havas
in meñ har koī hai tā-hashr hī dushman apnā
ġhuncha-o-gul meñ tabassum hī tabassum dekhā
Daalī Daalī pe nazar aayā hai bachpan apnā
lutf lete hue zaḳhmī se masīhā ne kahā
qābil-e-dīd hai har zaḳhm kā joban apnā
apne aslāf ke ajdād bhī haiñ dafn yahāñ
kyoñ na ho jaan se pyārā hameñ gulshan apnā
hai yaqīñ ḳhuun shahīdoñ kā hai is miTTī meñ
tab hī ḳhushbū se bharā phūloñ ne dāman apnā
ham bhī aflāk-nashīnoñ meñ haiñ shāmil 'muḳhlis'
kyoñ na chamkegā sitāroñ kī tarah fan apnā
gosha-e-gul hi nahin bagh tha maskan apna
jab se aazad hue ghar hua madfan apna
fikr-o-alam ke sae se bahut dur tha ye
yaad kyunkar na hamein aaega bachpan apna
ye zar-o-mal ye duniya ki tamanna ye hawas
in mein har koi hai ta-hashr hi dushman apna
ghuncha-o-gul mein tabassum hi tabassum dekha
Dali Dali pe nazar aaya hai bachpan apna
lutf lete hue zaKHmi se masiha ne kaha
qabil-e-did hai har zaKHm ka joban apna
apne aslaf ke ajdad bhi hain dafn yahan
kyon na ho jaan se pyara hamein gulshan apna
hai yaqin KHun shahidon ka hai is miTTi mein
tab hi KHushbu se bhara phulon ne daman apna
hum bhi aflak-nashinon mein hain shamil 'muKHlis'
kyon na chamkega sitaron ki tarah fan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.