gosha-nashin hain anjuman-ara nahin hain hum
gosha-nashīñ haiñ anjuman-ārā nahīñ haiñ ham
lekin ye mo.ajiza hai ki tanhā nahīñ haiñ ham
jab se milī hai daulat-e-irfān-o-āgahī
duniyā meñ rah ke shāmil-e-duniyā nahīñ haiñ ham
mushkil nahīñ hai dosto tasḳhīr-e-kā.enāt
afsos bas isī kā hai yakjā nahīñ haiñ ham
fardā kā ḳhvāb vaqt kī āvāz haiñ janāb
ik yādgār-e-ahd-e-guzishta nahīñ haiñ ham
hāsil hai ham ko lazzat-e-tauba ḳhatā ke baad
behtar hai aadmī haiñ farishta nahīñ haiñ ham
shādāb hai hamīñ se tirā gulshan-e-vajūd
dariyā haiñ jān-e-ārzū sahrā nahīñ haiñ ham
gosha-nashin hain anjuman-ara nahin hain hum
lekin ye moajiza hai ki tanha nahin hain hum
jab se mili hai daulat-e-irfan-o-agahi
duniya mein rah ke shamil-e-duniya nahin hain hum
mushkil nahin hai dosto tasKHir-e-kaenat
afsos bas isi ka hai yakja nahin hain hum
farda ka KHwab waqt ki aawaz hain janab
ek yaadgar-e-ahd-e-guzishta nahin hain hum
hasil hai hum ko lazzat-e-tauba KHata ke baad
behtar hai aadmi hain farishta nahin hain hum
shadab hai hamin se tera gulshan-e-wajud
dariya hain jaan-e-arzu sahra nahin hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.