goya hai tab-e-ishq mein bimar ki talab
goyā hai tāb-e-ishq meñ bīmār kī talab
aa jā to ab samajh ke dil-e-zār kī talab
phir chashm vā kare hai ruḳh-e-yār kī talab
ki diid ko hai phir kisī dīdār kī talab
aur lams ko hai phir usī ruḳhsār kī talab
abrū kare hai phir se nigah-e-yār kī talab
phir raḳhsh ko ḳhayāl ke raftār kī talab
baada kare hai phir usī sarshār kī talab
phir nuur ko huī hai shab-e-tār kī talab
phir aabla kare hai sar-e-ḳhār kī talab
phir kaam ko vahī hai rah-e-dār kī talab
phir shauq kar rahā hai ḳharīdār kī talab
goya hai tab-e-ishq mein bimar ki talab
aa ja to ab samajh ke dil-e-zar ki talab
phir chashm wa kare hai ruKH-e-yar ki talab
ki did ko hai phir kisi didar ki talab
aur lams ko hai phir usi ruKHsar ki talab
abru kare hai phir se nigah-e-yar ki talab
phir raKHsh ko KHayal ke raftar ki talab
baada kare hai phir usi sarshaar ki talab
phir nur ko hui hai shab-e-tar ki talab
phir aabla kare hai sar-e-KHar ki talab
phir kaam ko wahi hai rah-e-dar ki talab
phir shauq kar raha hai KHaridar ki talab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.