ghubar banta hun KHud ko uDa ke uThta hun
ġhubār bantā huuñ ḳhud ko uḌā ke uThtā huuñ
safar kā āḳhirī manzar banā ke uThtā huuñ
abhī maiñ joḌne vaalā huuñ do-jahānoñ ko
kināre un ke barābar meñ lā ke uThtā huuñ
zarā ruko ki abhī sunñe vaale sunte haiñ
bas ek āḳhirī qissa sunā ke uThtā huuñ
abhī to raat mire ird-gird baiThī hai
ise maiñ nūr-e-sahar se milā ke uThtā huuñ
sitāre sunte haiñ ik inhimāk se is ko
fasāna-e-ġham-e-hijrāñ sunā ke uThtā huuñ
ye mo.ajiza bhī mirī aañkh ko atā huā hai
maiñ sūkhī ret se dariyā banā ke uThtā huuñ
zamīñ pe kab se bhaTaktī hai ḳhilqat-e-tīra
charāġh huuñ ise rasta dikhā ke uThtā huuñ
ghubar banta hun KHud ko uDa ke uThta hun
safar ka aaKHiri manzar bana ke uThta hun
abhi main joDne wala hun do-jahanon ko
kinare un ke barabar mein la ke uThta hun
zara ruko ki abhi sunne wale sunte hain
bas ek aaKHiri qissa suna ke uThta hun
abhi to raat mere ird-gird baiThi hai
ise main nur-e-sahar se mila ke uThta hun
sitare sunte hain ek inhimak se is ko
fasana-e-gham-e-hijran suna ke uThta hun
ye moajiza bhi meri aankh ko ata hua hai
main sukhi ret se dariya bana ke uThta hun
zamin pe kab se bhaTakti hai KHilqat-e-tira
charagh hun ise rasta dikha ke uThta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.