ghubar dil mein bhara kirkiri salam-alaik
ġhubār dil meñ bharā kirkirī salām-alaik
hai kis ke kaam kī ye zāhirī salām-alaik
kareñ na sīdhī nigah dūsrī salām-alaik
hai ab ke yāroñ kī ye jharjharī salām-alaik
talavvun aisā in abnā-e-rozgār meñ hai
ki sub.h miliye to hai charparī salām-alaik
mabādā baat meñ bū-e-tama.a agar pāveñ
phir un kī āñkhoñ se terī girī salām-alaik
jo shaam dekho to phir in tiloñ meñ tel nahīñ
churā.ī āñkheñ haiñ bhauveñ phirī salām-alaik
ba-qaul-e-shā.er-e-bangāla 'azfarī' yuuñ rah
''ki khānā gāñTh kā in se nirī salām-alaik''
ghubar dil mein bhara kirkiri salam-alaik
hai kis ke kaam ki ye zahiri salam-alaik
karen na sidhi nigah dusri salam-alaik
hai ab ke yaron ki ye jharjhari salam-alaik
talawwun aisa in abna-e-rozgar mein hai
ki subh miliye to hai charpari salam-alaik
mabaada baat mein bu-e-tama agar pawen
phir un ki aankhon se teri giri salam-alaik
jo sham dekho to phir in tilon mein tel nahin
churai aankhen hain bhauwen phiri salam-alaik
ba-qaul-e-shaer-e-bangala 'azfari' yun rah
ki khana ganTh ka in se niri salam-alaik
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.