ghubar dil pe bahut aa gaya hai dho len aaj
ġhubār dil pe bahut aa gayā hai dho leñ aaj
khulī fazā meñ kahīñ duur jā ke ro leñ aaj
dayār-e-ġhair meñ ab duur tak hai tanhā.ī
ye ajnabī dar-o-dīvār kuchh to boleñ aaj
tamām-umr kī bedāriyāñ bhī sah leñge
milī hai chhāñv to bas ek niiñd so leñ aaj
tarab kā rañg mohabbat kī lau nahīñ detā
tarab ke rañg meñ kuchh dard bhī samo leñ aaj
kise ḳhabar hai ki kal zindagī kahāñ le jaa.e
nigāh-e-yār tire saath hī na ho leñ aaj
ghubar dil pe bahut aa gaya hai dho len aaj
khuli faza mein kahin dur ja ke ro len aaj
dayar-e-ghair mein ab dur tak hai tanhai
ye ajnabi dar-o-diwar kuchh to bolen aaj
tamam-umr ki bedariyan bhi sah lenge
mili hai chhanw to bas ek nind so len aaj
tarab ka rang mohabbat ki lau nahin deta
tarab ke rang mein kuchh dard bhi samo len aaj
kise KHabar hai ki kal zindagi kahan le jae
nigah-e-yar tere sath hi na ho len aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.