ghubar-e-KHatir-e-nashad hun main
ġhubār-e-ḳhātir-e-nāshād huuñ maiñ
ki miTne ke liye ābād huuñ maiñ
jafā-o-jaur se bhī shaad huuñ maiñ
harīs-e-lazzat-e-bedād huuñ maiñ
lab-e-mo.ajiz-numā se zindagī hai
ḳhirāj-e-nāz se barbād huuñ maiñ
baḌī mushkil meñ kī imdād merī
fidā-e-bāzū-e-jallād huuñ maiñ
na kar pāmāl gardish-hā-e-aflāk
kisī bhūle hue kī yaad huuñ maiñ
tamannā vasl kī to aur shai hai
tumhāre hijr se bhī shaad huuñ maiñ
tumhāre nāvak-e-mizhgāñ ke hote
rahīn-e-nashtar-e-fassād huuñ maiñ
mujhī par aañkh rahtī hai adū kī
'faroġh' ab dīda-e-hassād huuñ maiñ
ghubar-e-KHatir-e-nashad hun main
ki miTne ke liye aabaad hun main
jafa-o-jaur se bhi shad hun main
haris-e-lazzat-e-bedad hun main
lab-e-moajiz-numa se zindagi hai
KHiraj-e-naz se barbaad hun main
baDi mushkil mein ki imdad meri
fida-e-bazu-e-jallad hun main
na kar pamal gardish-ha-e-aflak
kisi bhule hue ki yaad hun main
tamanna wasl ki to aur shai hai
tumhaare hijr se bhi shad hun main
tumhaare nawak-e-mizhgan ke hote
rahin-e-nashtar-e-fassad hun main
mujhi par aankh rahti hai adu ki
'farogh' ab dida-e-hassad hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.