ghubar-e-rah bani main rah-e-ghubar mein hun
ġhubār-e-rāh banī maiñ rah-e-ġhubār meñ huuñ
na jaane kaun hai maiñ jis ke intizār meñ huuñ
vo mujh se milne palaT kar zarūr aa.egā
bahut zamāne se ummīd ke hisār meñ huuñ
ye jabr-o-qadr kā chakkar azal se chaltā hai
kabhī ye sochā nahīñ kis ke iḳhtiyār meñ huuñ
ye log kaun haiñ kaise haiñ kuchh nahīñ ma.alūm
maiñ bas hujūm kā hissa huuñ kis shumār meñ huuñ
mujhe bhī deñge vo hissa ye kaise soch liyā
maiñ itnī duur huuñ maiñ kab khaḌī qatār meñ huuñ
maiñ us kī huuñ vo mirā hai bas itnā kaafī hai
nahīñ hai jiit kī chāhat maiñ mast haar meñ huuñ
samajh ke bhī mujhe samjhā nahīñ zamāne ne
ḳhizāñ-rasīda huuñ khoī magar bahār meñ huuñ
khaḌī huuñ ishq-samundar ke maiñ kināre par
chaḌhā hai ishq kā nashsha bahut ḳhumār meñ huuñ
ghubar-e-rah bani main rah-e-ghubar mein hun
na jaane kaun hai main jis ke intizar mein hun
wo mujh se milne palaT kar zarur aaega
bahut zamane se ummid ke hisar mein hun
ye jabr-o-qadr ka chakkar azal se chalta hai
kabhi ye socha nahin kis ke iKHtiyar mein hun
ye log kaun hain kaise hain kuchh nahin malum
main bas hujum ka hissa hun kis shumar mein hun
mujhe bhi denge wo hissa ye kaise soch liya
main itni dur hun main kab khaDi qatar mein hun
main us ki hun wo mera hai bas itna kafi hai
nahin hai jit ki chahat main mast haar mein hun
samajh ke bhi mujhe samjha nahin zamane ne
KHizan-rasida hun khoi magar bahaar mein hun
khaDi hun ishq-samundar ke main kinare par
chaDha hai ishq ka nashsha bahut KHumar mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.