ghubar-e-rah mein samt-e-safar usi se mili
ġhubār-e-rāh meñ samt-e-safar usī se milī
vasīla koī ho manzil magar usī se milī
dil-o-nigāh ko āfāqiyat bhī dī us ne
mire hunar ko ziyā-e-hunar usī se milī
na chhoḌā haath se dāmān-e-'azmat-e-aslāf
mujhe bulandī-e-zauq-e-nazar usī se milī
bharosā mujh ko thā maañ baap kī du'āoñ par
yaqīn kījiye dastār-e-sar usī se milī
jise sharīk-e-ġham-e-zindagī banā na sake
tamām 'umr ko ye chashm-e-tar usī se milī
tamām raat guzārī ḳhayāl meñ jis ke
sahar huī to hamārī nazar usī se milī
bulandiyāñ mire qadmoñ ko chūmtī haiñ 'atīq'
magar ye quvvat-e-parvāz-e-par usī se milī
ghubar-e-rah mein samt-e-safar usi se mili
wasila koi ho manzil magar usi se mili
dil-o-nigah ko aafaqiyat bhi di us ne
mere hunar ko ziya-e-hunar usi se mili
na chhoDa hath se daman-e-'azmat-e-aslaf
mujhe bulandi-e-zauq-e-nazar usi se mili
bharosa mujh ko tha man bap ki du'aon par
yaqin kijiye dastar-e-sar usi se mili
jise sharik-e-gham-e-zindagi bana na sake
tamam 'umr ko ye chashm-e-tar usi se mili
tamam raat guzari KHayal mein jis ke
sahar hui to hamari nazar usi se mili
bulandiyan mere qadmon ko chumti hain 'atiq'
magar ye quwwat-e-parwaz-e-par usi se mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.