ghubar uDta hua dil ke KHak-dan mein hai
ġhubār uḌtā huā dil ke ḳhāk-dān meñ hai
kisī kī yaad kā malba paḌā makān meñ hai
majāl kab hai samundar kī rāsta roke
hamāre azm kā tūfān bādbān meñ hai
kaho na DhūñDeñ ḳhirad vaale āshiyāne meñ
mire junūñ kā parinda abhī uḌaan meñ hai
nahīñ pighalte agar sang terī bātoñ se
koī to naqs yaqīnan tirī zabān meñ hai
bahā ke le gayā sailāb fasl ḳhvāboñ kī
kisān baiThā huā niiñd ke machān meñ hai
bhaTak rahā hai kahāñ dhuup ke jazīre meñ
tirī jagah mirī palkoñ ke sā.ebān meñ hai
sabhī javāb mire ban ga.e savāl 'ash.har'
ye zindagī bhī mirī kaise imtihān meñ hai
ghubar uDta hua dil ke KHak-dan mein hai
kisi ki yaad ka malba paDa makan mein hai
majal kab hai samundar ki rasta roke
hamare azm ka tufan baadban mein hai
kaho na DhunDen KHirad wale aashiyane mein
mere junun ka parinda abhi uDan mein hai
nahin pighalte agar sang teri baaton se
koi to naqs yaqinan teri zaban mein hai
baha ke le gaya sailab fasl KHwabon ki
kisan baiTha hua nind ke machan mein hai
bhaTak raha hai kahan dhup ke jazire mein
teri jagah meri palkon ke saeban mein hai
sabhi jawab mere ban gae sawal 'ashhar'
ye zindagi bhi meri kaise imtihan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.