gudaz-e-dil mata-e-chashm-e-nam tak bech dete hain
gudāz-e-dil matā-e-chashm-e-nam tak bech dete haiñ
ye ahl-e-hosh ulfat kā bharam tak bech dete haiñ
munāsib daam lag jaa.eñ to ḳhūbān-e-parī-chehra
badan ke loch aur zulfoñ ke ḳham tak bech dete haiñ
ye kaise pāsbān-e-gulsitāñ haiñ jo bahāroñ meñ
guloñ kā rañg-o-bū shāḳhoñ kā tum tak bech dete haiñ
tijārat par yahāñ buniyād hai aapas ke rishtoñ kī
yahāñ ahl-e-karam dast-e-karam tak bech dete haiñ
ab is se baḌh ke fikr-o-zehn kī tauhīn kyā hogī
ki arbāb-e-qalam apne qalam tak bech dete haiñ
vaqār-e-mai-kada par jaan de dete haiñ ham 'maikash'
haram vaale to nāmūs-e-haram tak bech dete haiñ
gudaz-e-dil mata-e-chashm-e-nam tak bech dete hain
ye ahl-e-hosh ulfat ka bharam tak bech dete hain
munasib dam lag jaen to KHuban-e-pari-chehra
badan ke loch aur zulfon ke KHam tak bech dete hain
ye kaise pasban-e-gulsitan hain jo bahaaron mein
gulon ka rang-o-bu shaKHon ka tum tak bech dete hain
tijarat par yahan buniyaad hai aapas ke rishton ki
yahan ahl-e-karam dast-e-karam tak bech dete hain
ab is se baDh ke fikr-o-zehn ki tauhin kya hogi
ki arbab-e-qalam apne qalam tak bech dete hain
waqar-e-mai-kada par jaan de dete hain hum 'maikash'
haram wale to namus-e-haram tak bech dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.