gudaz-e-harf-e-nau-gufta yaqini hai mohabbat
gudāz-e-harf-e-nau-gufta yaqīnī hai mohabbat
tirī buniyād par she'r-āfrīnī hai mohabbat
dil-e-ḳhush-fahm se is baat par ab kaun uljhe
jo kahtā hai ki terī ham-nashīnī hai mohabbat
ġhamoñ ko muskurā kar jhelnā aatā hai tujh ko
tire ausāf meñ ḳhanda-jabīnī hai mohabbat
tirī qurbat meñ dil shādāb hotā jā rahā hai
yahī din haiñ ki mujh meñ bhīnī-bhīnī hai mohabbat
ham ahl-e-dil ke sab dā've ġhalat sābit hue haiñ
ġham-e-duniyā ne āḳhir-kār chhīnī hai mohabbat
mohabbat kī hadoñ ko bas ḳhudā hī jāntā hai
varā-e-sarhad-e-rūh-ul-amīnī hai mohabbat
ye kyā duhrī musībat hai maiñ jis meñ mubtalā huuñ
dil-e-īzā-talab ke saath jiinī hai mohabbat
gudaz-e-harf-e-nau-gufta yaqini hai mohabbat
teri buniyaad par she'r-afrini hai mohabbat
dil-e-KHush-fahm se is baat par ab kaun uljhe
jo kahta hai ki teri ham-nashini hai mohabbat
ghamon ko muskura kar jhelna aata hai tujh ko
tere ausaf mein KHanda-jabini hai mohabbat
teri qurbat mein dil shadab hota ja raha hai
yahi din hain ki mujh mein bhini-bhini hai mohabbat
hum ahl-e-dil ke sab da'we ghalat sabit hue hain
gham-e-duniya ne aaKHir-kar chhini hai mohabbat
mohabbat ki hadon ko bas KHuda hi jaanta hai
wara-e-sarhad-e-ruh-ul-amini hai mohabbat
ye kya duhri musibat hai main jis mein mubtala hun
dil-e-iza-talab ke sath jini hai mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.