gudaz-e-qalb na soz-e-dawam hai saqi
gudāz-e-qalb na soz-e-davām hai saaqī
saroñ meñ mahshar-e-saudā-e-ḳhām hai saaqī
har ek rind yahāñ tishna-kām hai saaqī
ye mai-kade kā tire ehtimām hai saaqī
pilā pilā ki nizām-e-kohan badal Dālūñ
samand-e-umr bahut tez-gām hai saaqī
chalā huuñ aaj liye azm-e-rah-navardī-e-shauq
ḳhayāl-e-ishrat-e-manzil harām hai saaqī
nazar nazar se numāyāñ qiyādatoñ kā fusūñ
qadam qadam pe siyāsat kā daam hai saaqī
vo dil jo thā kabhī kaun-o-makāñ se be-parvā
shikār-e-kashmakash-e-sub.h-o-shām hai saaqī
hudūd-e-ālam-e-imkāñ se dam ulajhtā hai
yahāñ to saañs bhī lenā harām hai saaqī
faroġh-e-hasrat-e-parvāz-o-justujū kī qasam
junūñ ḳhirad kā abhī tak ġhulām hai saaqī
bashart-e-izn sunā.ūñgā ḳhalvatoñ meñ tujhe
abhī fasāna-e-ġham nā-tamām hai saaqī
gudaz-e-qalb na soz-e-dawam hai saqi
saron mein mahshar-e-sauda-e-KHam hai saqi
har ek rind yahan tishna-kaam hai saqi
ye mai-kade ka tere ehtimam hai saqi
pila pila ki nizam-e-kohan badal Dalun
samand-e-umr bahut tez-gam hai saqi
chala hun aaj liye azm-e-rah-nawardi-e-shauq
KHayal-e-ishrat-e-manzil haram hai saqi
nazar nazar se numayan qiyaadaton ka fusun
qadam qadam pe siyasat ka dam hai saqi
wo dil jo tha kabhi kaun-o-makan se be-parwa
shikar-e-kashmakash-e-subh-o-sham hai saqi
hudud-e-alam-e-imkan se dam ulajhta hai
yahan to sans bhi lena haram hai saqi
farogh-e-hasrat-e-parwaz-o-justuju ki qasam
junun KHirad ka abhi tak ghulam hai saqi
bashart-e-izn sunaunga KHalwaton mein tujhe
abhi fasana-e-gham na-tamam hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.