guftugu ek pal ruki bhi nahin
guftugū ek pal rukī bhī nahīñ
baat karnī thī jo huī bhī nahīñ
aise dekho to sab adhūrā hai
vaise dekho to kuchh kamī bhī nahīñ
ham bujhā.eñge ham bujhā.eñge
aag jo Thiik se lagī bhī nahīñ
mujh se ik shikva hai zamāne ko
chaal pūchhī bhī aur chalī bhī nahīñ
rabt TuuTā to TuuT jaane diyā
jism ke saath ruuh thī bhī nahīñ
ham aur aap ik ġhazal kā charba haiñ
vo ġhazal jo abhī huī bhī nahīñ
guftugu ek pal ruki bhi nahin
baat karni thi jo hui bhi nahin
aise dekho to sab adhura hai
waise dekho to kuchh kami bhi nahin
hum bujhaenge hum bujhaenge
aag jo Thik se lagi bhi nahin
mujh se ek shikwa hai zamane ko
chaal puchhi bhi aur chali bhi nahin
rabt TuTa to TuT jaane diya
jism ke sath ruh thi bhi nahin
hum aur aap ek ghazal ka charba hain
wo ghazal jo abhi hui bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.