guftugu hum ru-ba-ru un ke na kar pae bahut
guftugū ham rū-ba-rū un ke na kar paa.e bahut
yuuñ to aate the suḳhan ke ham ko pairā.e bahut
zindagī kī dhuup meñ jab duur tak jaanā paḌā
yaad aa.e terī zulfoñ ke ghane saa.e bahut
ho sakā phir bhī na us ke husn-e-rañgīñ kā bayāñ
shahr-e-fikr-o-fan se tashbīhāt ham laa.e bahut
maiñ ne ik haq baat kah dī thī ḳhilāf-e-maslahat
tab se suntā huuñ ḳhafā haiñ mere ham-sā.e bahut
un ko jaane kis ne bhejā thā payām-e-sair-e-gul
baaġh meñ uḌ kar parinde duur se aa.e bahut
terī qismat meñ tahī-dāmāñ hī rahnā thā 'qadīr'
varna us ne anjuman meñ phuul barsā.e bahut
guftugu hum ru-ba-ru un ke na kar pae bahut
yun to aate the suKHan ke hum ko pairae bahut
zindagi ki dhup mein jab dur tak jaana paDa
yaad aae teri zulfon ke ghane sae bahut
ho saka phir bhi na us ke husn-e-rangin ka bayan
shahr-e-fikr-o-fan se tashbihat hum lae bahut
main ne ek haq baat kah di thi KHilaf-e-maslahat
tab se sunta hun KHafa hain mere ham-sae bahut
un ko jaane kis ne bheja tha payam-e-sair-e-gul
bagh mein uD kar parinde dur se aae bahut
teri qismat mein tahi-daman hi rahna tha 'qadir'
warna us ne anjuman mein phul barsae bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.