guftugū jaise duā hone lagī
har musībat phir havā hone lagī
saañs lenā jab sazā hone lagā
maiñ 'duā' ḳhud se judā hone lagī
aap kī bāñhoñ meñ jab maiñ aa ga.ī
zindagī se phir vafā hone lagī
jī rahī thī maiñ sukūñ se rāt-din
ishq meñ naqsh-e-jafā hone lagī
ibtidā meñ mushkileñ thiiñ sahl phir
mushkiloñ kī intihā hone lagī
aisī kyā aafat paḌī bastī pe hai
dūdhiyā niilī fazā hone lagī
chal paḌī thī sū-e-manzil jab 'duā'
ik duā sar par ghaTā hone lagī
guftugu jaise dua hone lagi
har musibat phir hawa hone lagi
sans lena jab saza hone laga
main 'dua' KHud se juda hone lagi
aap ki banhon mein jab main aa gai
zindagi se phir wafa hone lagi
ji rahi thi main sukun se raat-din
ishq mein naqsh-e-jafa hone lagi
ibtida mein mushkilen thin sahl phir
mushkilon ki intiha hone lagi
aisi kya aafat paDi basti pe hai
dudhiya nili faza hone lagi
chal paDi thi su-e-manzil jab 'dua'
ek dua sar par ghaTa hone lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.