guftugu kar ke aap ki takiya
guftugū kar ke aap kī takiya
mujh se kartā hai dil-lagī takiya
raat soyā thā tere baazū par
aañkh kholī to phir vahī takiya
merī duniyā faqat yahīñ tak hai
chaa.e cigarette suḳhanvarī takiya
ai ḳhudā tū hī merā sab kuchh hai
avvalīñ dost āḳhirī takiya
jo samajhtā na thā mujhe kuchh bhī
mujh pe karne lagā vahī takiya
ek takiya ḳharīd le 'anjum'
god us kī hai 'ārzī takiya
guftugu kar ke aap ki takiya
mujh se karta hai dil-lagi takiya
raat soya tha tere bazu par
aankh kholi to phir wahi takiya
meri duniya faqat yahin tak hai
chae cigarette suKHanwari takiya
ai KHuda tu hi mera sab kuchh hai
awwalin dost aaKHiri takiya
jo samajhta na tha mujhe kuchh bhi
mujh pe karne laga wahi takiya
ek takiya KHarid le 'anjum'
god us ki hai 'arzi takiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.