guftugu karte raho raat guzar jaegi
guftugū karte raho raat guzar jā.egī
nuur kī koī kiran dil meñ utar jā.egī
naujavāñ qaum kā sarmāya huā karte haiñ
tum jo bikhre to miyāñ qaum bikhar jā.egī
zarf vaalā kisī kam-zarf kā ehsāñ le kar
zindagī laakh jiye ruuh to mar jā.egī
mauj-e-ḳhūñ sar se guzartī hai guzar jaane de
kam se kam qaum ko bedār to kar jā.egī
apnī muñh zor tamannāoñ pe qaabū kar lo
varna sar se miyāñ dastār utar jā.egī
apnī shohrat pe na itrānā kabhī tū 'vāsiq'
ye nadī vo hai jo ik roz utar jā.egī
guftugu karte raho raat guzar jaegi
nur ki koi kiran dil mein utar jaegi
naujawan qaum ka sarmaya hua karte hain
tum jo bikhre to miyan qaum bikhar jaegi
zarf wala kisi kam-zarf ka ehsan le kar
zindagi lakh jiye ruh to mar jaegi
mauj-e-KHun sar se guzarti hai guzar jaane de
kam se kam qaum ko bedar to kar jaegi
apni munh zor tamannaon pe qabu kar lo
warna sar se miyan dastar utar jaegi
apni shohrat pe na itrana kabhi tu 'wasiq'
ye nadi wo hai jo ek roz utar jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.