Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guftugu kyun na karen dida-e-tar se baadal

Prem Warbartani

guftugu kyun na karen dida-e-tar se baadal

Prem Warbartani

MORE BYPrem Warbartani

    guftugū kyuuñ na kareñ dīda-e-tar se bādal

    lauT aa.e haiñ sitāroñ ke safar se bādal

    kyā ġhazabnāk thī sūraj barahna shamshīr

    kaale mujrim tarah nikle na ghar se bādal

    raat kokh koī chāñd kahāñ se laa.e

    ye zamīñ bāñjh hai barse ki na barse bādal

    barf se kahiye ki sauġhāt kare un qubūl

    laa.e haiñ aag ke dastāne safar se bādal

    maiñ ki huuñ dhuup āzād parinda lekin

    baal kyuuñ noch rahe haiñ mire par se bādal

    āḳhirī ḳhat to likhūñgā maiñ lahū se ḳhud ko

    ab bhī māyūs jo lauTe tire dar se bādal

    na kisī jism jaadū na ghaTā gesū

    'prem' kyuuñ ruuTh ga.e prem-nagar se bādal

    guftugu kyun na karen dida-e-tar se baadal

    lauT aae hain sitaron ke safar se baadal

    kya ghazabnak thi suraj ki barahna shamshir

    kale mujrim ki tarah nikle na ghar se baadal

    raat ki kokh koi chand kahan se lae

    ye zamin banjh hai barse ki na barse baadal

    barf se kahiye ki saughat kare un ki qubul

    lae hain aag ke dastane safar se baadal

    main ki hun dhup ka aazad parinda lekin

    baal kyun noch rahe hain mere par se baadal

    aaKHiri KHat to likhunga main lahu se KHud ko

    ab bhi mayus jo lauTe tere dar se baadal

    na kisi jism ka jadu na ghaTa gesu ki

    'prem' kyun ruTh gae prem-nagar se baadal

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now