guhar KHarid na paenge shahr bhar ke mujhe
guhar ḳharīd na pā.eñge shahr bhar ke mujhe
bahut 'azīz haiñ zarre ye apne ghar ke mujhe
taraste aaj bhī haiñ mere lams-e-dastak ko
bahut hañse the jo darvāze chhoḌ kar ke mujhe
hai mere dil ko anā is qadar 'azīz ki vo
taḌapne bhī nahīñ detā hai aah bhar ke mujhe
Dhalā hai chaak pe ye but magar nazākat se
farishte likhte haiñ ā'māl dafn kar ke mujhe
bas iltifāt-e-nazar terī chāhiye varna
payām aa.e haiñ sau sau ka.ī nazar ke mujhe
na ab sameT mire muntashir vujūd kī raakh
sukūñ milā hai tirī chaah meñ bikhar ke mujhe
tire firāq kī rāteñ tavīl thiiñ itnī
ki yaad aa.e ka.ī qisse 'umr bhar ke mujhe
maiñ DhūñDhtā huuñ khilaunoñ meñ bachpanā phir se
kahāñ gayā mirā bachpan udaas kar ke mujhe
zabān de ke mire paañv ke nishānoñ ko
talāsh karte haiñ dīvāne shahr bhar ke mujhe
guhar KHarid na paenge shahr bhar ke mujhe
bahut 'aziz hain zarre ye apne ghar ke mujhe
taraste aaj bhi hain mere lams-e-dastak ko
bahut hanse the jo darwaze chhoD kar ke mujhe
hai mere dil ko ana is qadar 'aziz ki wo
taDapne bhi nahin deta hai aah bhar ke mujhe
Dhala hai chaak pe ye but magar nazakat se
farishte likhte hain aa'mal dafn kar ke mujhe
bas iltifat-e-nazar teri chahiye warna
payam aae hain sau sau kai nazar ke mujhe
na ab sameT mere muntashir wujud ki rakh
sukun mila hai teri chah mein bikhar ke mujhe
tere firaq ki raaten tawil thin itni
ki yaad aae kai qisse 'umr bhar ke mujhe
main DhunDhta hun khilaunon mein bachpana phir se
kahan gaya mera bachpan udas kar ke mujhe
zaban de ke mere panw ke nishanon ko
talash karte hain diwane shahr bhar ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.