gul-badan gul-ezar aa jao
gul-badan gul-ezār aa jaao
jā rahī hai bahār aa jaao
hai agar mujh se pyaar aa jaao
hai fazā sāz-gār aa jaao
dīda-o-dil haiñ farsh-e-rāh mire
hama-tan intizār aa jaao
chhūT jaa.e kahīñ na dāman-e-sabr
na karo be-qarār aa jaao
aa ke chāho to phir chale jaanā
ba-ḳhudā ek baar aa jaao
jaise pahle milā thā maiñ tum se
tum bhī dīvāna-vār aa jaao
tum satāoge kitnā barqī ko
ho agar ġham-gusār aa jaao
gul-badan gul-ezar aa jao
ja rahi hai bahaar aa jao
hai agar mujh se pyar aa jao
hai faza saz-gar aa jao
dida-o-dil hain farsh-e-rah mere
hama-tan intizar aa jao
chhuT jae kahin na daman-e-sabr
na karo be-qarar aa jao
aa ke chaho to phir chale jaana
ba-KHuda ek bar aa jao
jaise pahle mila tha main tum se
tum bhi diwana-war aa jao
tum sataoge kitna barqi ko
ho agar gham-gusar aa jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.