Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gul-e-KHush-numa ke libas mein ki shua-e-nur hain Dhal ke aa

Shayar Fatehpuri

gul-e-KHush-numa ke libas mein ki shua-e-nur hain Dhal ke aa

Shayar Fatehpuri

MORE BYShayar Fatehpuri

    gul-e-ḳhush-numā ke libās meñ ki shuā-e-nūr haiñ Dhal ke aa

    tujhe DhūñDh legī mirī nazar hazār rang badal ke aa

    tire dil aag haqīqatan tire haq meñ fasl-e-bahār hai

    jo bujhā.e se bhī na bujh sake usī dil aag meñ jal ke aa

    tirī justujū bhī hijāb hai tirī aarzū bhī hijāb hai

    kabhī dām-e-aql-o-shu.ūr se jo nikal sake to nikal ke aa

    ye hai ahl-e-zarf anjuman ye hai ahl-e-ishq mai-kada

    hazār nashsha meñ chuur ho jo yahāñ pe aa to sañbhal ke aa

    mah-o-mehr meñ bhī hai dilkashī magar is baat hai aur

    tujhe ārzū-e-jamāl hai harīm-e-nāz meñ chal ke aa

    ye junūn-e-ishq shaan hai tujhe log kuchh bhī kahā kareñ

    jo atā-e-kū-e-habīb hai vahī ḳhaak chehre pe mal ke aa

    hazār parda kiyā kare na chhupegī husn dilkashī

    vo libās-e-kohna pahan ke aa ki nayā libās badal ke aa

    asar-āfrīn-e-bahār hai tirī fikr 'shā.ir'-e-ḳhush-navā

    jinheñ chhū sake na ḳhizāñ kabhī vahī phuul le ke ġhazal ke aa

    gul-e-KHush-numa ke libas mein ki shua-e-nur hain Dhal ke aa

    tujhe DhunDh legi meri nazar tu hazar rang badal ke aa

    tere dil ki aag haqiqatan tere haq mein fasl-e-bahaar hai

    jo bujhae se bhi na bujh sake usi dil ki aag mein jal ke aa

    teri justuju bhi hijab hai teri aarzu bhi hijab hai

    kabhi dam-e-aql-o-shuur se jo nikal sake to nikal ke aa

    ye hai ahl-e-zarf ki anjuman ye hai ahl-e-ishq ka mai-kada

    tu hazar nashsha mein chur ho jo yahan pe aa to sanbhal ke aa

    mah-o-mehr mein bhi hai dilkashi magar is ki baat hai aur hi

    tujhe aarzu-e-jamal hai tu harim-e-naz mein chal ke aa

    ye junun-e-ishq ki shan hai tujhe log kuchh bhi kaha karen

    jo ata-e-ku-e-habib hai wahi KHak chehre pe mal ke aa

    tu hazar parda kiya kare na chhupegi husn ki dilkashi

    wo libas-e-kohna pahan ke aa ki naya libas badal ke aa

    asar-afrin-e-bahaar hai teri fikr 'shair'-e-KHush-nawa

    jinhen chhu sake na KHizan kabhi wahi phul le ke ghazal ke aa

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now