gul ki aur bulbul ki sohbat ko chaman ka shana hai
gul ki aur bulbul ki sohbat ko chaman ka shana hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
gul kī aur bulbul kī sohbat ko chaman kā shāna hai
sarv hai juuñ sham' tis par fāḳhta parvāna hai
roz o shab yā nauha yā zaarī hai yā āh-o-fuġhāñ
yā ilāhī ye koī dil hai ki mātam-ḳhāna hai
tan kar us kī teġh ke aage huā hai sar-ba-kaf
hai qayāmat hai ġhazab ye dil hai yā dīvāna hai
bulbul-e-tasvīr kī mānind said-e-dil ke ta.iiñ
ne havā uḌne kī ne parvā-e-āb-o-dāna hai
ek hālat par na dekhā us ko ham ne ek aan
gah gul o gah bulbul o gah sham' o gah parvāna hai
mo.atakif ho shaiḳh apne dil meñ masjid se nikal
sāhib-e-dil kī baġhal meñ dil ibādat-ḳhāna hai
mai-kasho mujh ko tumhārī bazm kī hasrat nahīñ
paas mere diida o dil shīsha o paimāna hai
ḳhvāb meñ the jab talak thā dil meñ duniyā kā ḳhayāl
khul ga.iiñ āñkheñ to dekhā ham ne sab afsāna hai
she’r ustādāna o 'hātim' hai be-bākāna-vaz.a
tab' āzādāna o auqāt darveshāna hai
gul ki aur bulbul ki sohbat ko chaman ka shana hai
sarw hai jun sham' tis par faKHta parwana hai
roz o shab ya nauha ya zari hai ya aah-o-fughan
ya ilahi ye koi dil hai ki matam-KHana hai
tan kar us ki tegh ke aage hua hai sar-ba-kaf
hai qayamat hai ghazab ye dil hai ya diwana hai
bulbul-e-taswir ki manind said-e-dil ke tain
ne hawa uDne ki ne parwa-e-ab-o-dana hai
ek haalat par na dekha us ko hum ne ek aan
gah gul o gah bulbul o gah sham' o gah parwana hai
moatakif ho shaiKH apne dil mein masjid se nikal
sahib-e-dil ki baghal mein dil ibaadat-KHana hai
mai-kasho mujh ko tumhaari bazm ki hasrat nahin
pas mere dida o dil shisha o paimana hai
KHwab mein the jab talak tha dil mein duniya ka KHayal
khul gain aankhen to dekha hum ne sab afsana hai
she’r ustadana o 'hatim' hai be-bakana-waza
tab' aazadana o auqat darweshana hai
- Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 292)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.