gul ki KHunin-jigari yaad aai
gul kī ḳhūnīñ-jigarī yaad aa.ī
phir nasīm-e-saharī yaad aa.ī
aaj farmān-e-rihā.ī pahuñchā
aaj be-bāl-o-parī yaad aa.ī
dushman ābād raheñ jin ke tufail
apnī ālī-guhrī yaad aa.ī
jab kisī ne mirī āñkheñ sī diiñ
tab mujhe dīda-varī yaad aa.ī
saaz jab TuuT ga.e ham-nafaso
ab tumheñ naġhmagarī yaad aa.ī
kabhī raushan jo huī sham-e-bahār
baaġh kī be-basarī yaad aa.ī
kam na the gardish-e-daurāñ ke gile
kyuuñ tirī kam-nazarī yaad aa.ī
pahle ma.alūm na thā dil kā maqām
ab tumheñ shīsha-garī yaad aa.ī
aaj arbāb-e-ḳhirad ko 'ābid'
merī shorīda-sarī yaad aa.ī
gul ki KHunin-jigari yaad aai
phir nasim-e-sahari yaad aai
aaj farman-e-rihai pahuncha
aaj be-baal-o-pari yaad aai
dushman aabaad rahen jin ke tufail
apni aali-guhri yaad aai
jab kisi ne meri aankhen si din
tab mujhe dida-wari yaad aai
saz jab TuT gae ham-nafaso
ab tumhein naghmagari yaad aai
kabhi raushan jo hui sham-e-bahaar
bagh ki be-basari yaad aai
kam na the gardish-e-dauran ke gile
kyun teri kam-nazari yaad aai
pahle malum na tha dil ka maqam
ab tumhein shisha-gari yaad aai
aaj arbab-e-KHirad ko 'abid'
meri shorida-sari yaad aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.